Pitru Paksh 2026 Kab Hai?

Pitru Paksh poorvajon ke prati shraddha, smaran and krtajnyata vyakt karne ka vishesh samay mana jata hai.

2026 mein poornima shradh 26 September ko hai and pratipada shradh 27 September se prarambh hogi. Sarvapitru amavasya 10 October 2026 ko hai.

Pitru Paksh Mein Kya Karein?

  • Divangat poorvaj ki mrityu-tithi ke anusar shradh karein.
  • Shraddhapoorvak tarpan and pindadan karein.
  • Yogya brahman ko bhojan and dakshina dain.
  • Jaruratmand ko ann, vastra ya apni samrthya anusar dan karein.
  • Gai, kauva and anya jivan ke liye bhojan nikal sakte hain.

Pitron ke Saral Upay

  • Pratidin pitron ka smaran karke jal arpit karein.
  • Amavasya par shraddhapoorvak tarpan karein.
  • Parivaar ke divangat sadasyon ke naam se annadan karein.
  • Ghar ke bujurgon ka samman and seva karein.

Vishesh Savdhanee

Shradh ki tithi and vidhi parivaar ki parampara and sthaniya panchang ke anusar alag ho sakti hai. Vishesh shradh, tripindi shradh ya pindadan adi kisi yogya karmanandi vidvan ke margdarshan mein karana uchit hai.